Sagar ki gumsum lehron mein
Ek toofan sa jab aata hai
Kshitij samet apne daman mein
Kala badal chha jaata hai
Ek garaj si tab uthhti hai
Kho jaata hai sab soonapan
Bina ruke barish hoti
Badal ka bhi rota hai man
Badal bhi jab bhar jaata hai
Nir bahut behte hain uske
Mein roya to kyun roya mein
Ab na koi pooche mujhse
Written long time back, perhaps in 1993.
Saturday, July 08, 2006
Subscribe to:
Posts (Atom)