Wednesday, September 29, 2004

Meri Abhilaashaa

Had written this long back. Probably in 1993... This isnt me for sure though.

Abhilaashaa ke mridu panghat par
Ghadaa mujhe bhi ek bharnaa hai,
Jeevan ke is nirmal path par
Mujhko bhi aagey badhnaa hai.

Suraj chaand aur tare paanaa
Chaahta to hai har insaan,
Kya mein bhi maang loon inko nabh se
Aur kar doon sari jagati sunsaan?

Ya ban jaaoon mein woh prakhar jyoti
Jiske aadhaar par jeevan aashrit,
Jiski aabhaa se prerit ho kar
Andhakaar khud hua samarpit?

Chaahta hoon mein banoon boond
Aur gir jaaoon pyasi dharti par,
Maati mehke, panchhi chehken,
Behek uthen saare naari nar,
Khushiyon ki barsaat ho aviral
Nav jeevan kaa ullaas mile,
Khoye hue mad mast aalam mein
Mera pataa mile naa mile.

1 comment:

Anonymous said...

WOW!! This was a beautiful verse....impressed!!